Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Hussain
Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Hussain
Tera Chehra Teri Aankhein Bhool Kab Pay Hussain
Chalte Naaqe Se Giraya Khud Ko Jalti Rayt Par
Ghutniyo Ke Bal Mai Teri Lash Tak Aayi Hussain
Bas Mai Ghabrayi Thi Khanjar Tujhpe Chalta Dekh Kar
Phir Kisi Mushkil May Ghir Kar Mai Na Ghabrayi Hussain
Kaun Tha Jo Marne Walon May Nahi Tha Khubaru
Bhoolne Baithi To Kis Kis Ki Na Yaad Aayi Hussain
Beh Rahe Thay Aankh Se Aansu Teri Rugsat Ke Wagt
Phir Koi Aansu Na Tapka Aankh Pathrayi Hussain
Door Uftada Safar Se Laut Kar Maine Naved
Thanda Pani Jab Piya Bas Teri Yaad Aayi Hussain