Baba Baba Musafiron Pay Qayamat Guzar Gayi
Recitation at 7:41:54
Pohnchay Ghareeb Jis Ghari Qabr E Hussain Par
Yeh Keh Kay Roey Qabr Pay Sajad Noha Gar
Baba Sunno Gharibo(N) Say Abb Halat E Safar
Ummat Nay Bay Watan Ko Phiraya Hai Dar Badar
Zainab Dayar E Sham May Jab Nangay Sir Gae
Maqtal Say Hum Chalay Thay Tou Hathoon May Thi Rasaan
Baba Moaaf Karna Na Hum Dae Sakay Kafan
Tukron May Bat Chuke Thay Shahidoon Kay Sab Badan
Khaak Aur Khoo(N) May Dobay Nazar Aye Khasta Tan
Aulaad E Fatima Sir E Maqtal Bikhar Gae
Maqtal Say Istarah Say Guzara Gaya Humain
Khoo(N) Kay Samandaro(N) May Uttara Gaya Humain
Baba Har Aik Gaam Pay Mara Gaya Humain
Baghi Ki Aal Keh Kay Pukara Gaya Humain
Ranj O Aalam Ki Taigh Jiger May Uttar Gae
Kufay Ki Shahzadi Pay Pathar Baras Gaye
Baba Shareef Loog Darindo May Phass Gaye
Saadat Izato(N) Ki Nazar Ko Taras Gae
Bazaar E Sham Aaya Tou Majmay May Dhaas Gaye
Main Kis Say Poochta Mere Hurmat Kidher Gae
Baazar E Shaam Aur Woh Logo(N) Ka Ijdihaam
Aise Mai Shimr Laita Tha Saidanio Kay Naam
Uss Shaam May Hoa Tha Aseero(N) Ka Qatl E Aam
Koi Na Tha Joh Karta Humara Bhi Ehtiram
Qatil He Dikh Rahay Thay Jahan Tak Nazar Gae
Darbar E Shaam Ki Tou Musibat Ajeeb Thi
Baba Mujhay Laga Kay Qayamat Qareeb Thi
Fiza Kay Hami Agaye Woh Khush Naseeb Thi
Haye Magar Ghareeb Ki Beti Ghareeb Thi
Ruswai Shaam Ki Humain Barbaad Kar Gae
Zindan E Shaam Pohchay Tou Yeh Bhi Ghazab Hoa
Amma Rabab Karnay Lagee Girya O Fuga
Ek Karbala Kay Bad Hoi Aik Karbala
Zinda Kay Dar Say Deti Thi Ammo Ko Joh Sada
Aakhir Yehi Hoa Kay Sakina Bhi Mar Gae
Yeh Keh Kay Ghum Zada Nay Kia Akhari Salaam
Roe(N) Gay Jakay Shehr E Madina May Subho Shaam
Sughra Ko Daingay Kaise Tasali Yeh Tashna Kaam
Ghar Jakay Yaad Aingay Jaltay Hoey Khayaam
Basti Zafar Ghareebon Ki Ashkon Say Bhar Gae