Kaisi Yeh Shaam Ayi Aulade Sayyeda Par
Kaisi Yeh Shaam Ayee Aulaade Sayyada Par
Sajjad Ro Rahe Hain, Zainab Se Moon Chupa Kar
Ek Samt Be Kafan Hai Bhai Ka Uske Laasha
Abbas Ki Behen Ka Baaqi Raha Na Parda
Ab Sochti Hai Zainab Mange Kafan Ya Chadar
Baazu Kahan Parey Hain Laasha Kahan Para Hai
Zainab Ki Bebasi Par Ghazi Tarap Raha Hai
Roti Hai Bekasi Bhi Farsh-E-Aza Bicha Kar
Jo Ghar Mein Do Qadam Bhi Paidal Nahi Chali Hai
Ek Din Mein Wo Hi Zainab Abbas Ban Gayi Hai
Pehre Pe Aagayi Hai Tanha Alam Utha Kar
Sajjad Se Lipat Kar Kehti Rahi Sakina
Ehsaas Ho Raha Hai Me Hogai Yateema
Zalim Dara Raha Hai Naiza Dikha Dikha Kar
Laashon Ke Darmiyan Wo Baba Ko Dhondhti Hai
Moon Apna Peet Kar Ye Faryad Kar Rahi Hai
Qadmon Mein Hi Sula Do Baba Mujhe Bulakar
Jab Agaye Najaf Se Bati Ko Milne Baba
Zaano Pay Rakh Kay Sar Ye Kehne Lagi Wo Dukhiya
Zainab Ujar Gai Hai Karbobala Basa Kar
Khaimon Ke Saath Jhula Bistar Bhi Jal Gaya Hai
Namoos-E-Mustafa Ko Baghi Kaha Gaya Hai
Le Jayenge Subha Ko Qaidi Hume Bana Kar
Guzregi Kaisi Yawar Maqtal Se Shahzaadi
Abid Ne Raat Momin Ye Soch Kar Guzari
Zainab Ka Naam Lega Zalim To Muskurakar