Karbala Karbala Karbala Aagayi
Karbala Karbala Karbala Aagayi
Rashke Jannat Hai Ye Sar Zameen-E-Wafa
Khoone Masoom Se, Isko Seencha Gaya
So Raha Hai Yahan, Dilbare Fatima
Aankh Bhar Aayi Jab Uski Yaad Aagayi
Kam Nahin Hai Haram Se Ye Dashte Sitam
Aankh Neechi Rahen, Sar Rahein Sab Ke Kham
Sar Khulay Yaan Se Guzre Hain Ahle Haram
Ghudkiyan Khaati Roti Sakina Gayi
Zarra Zarra Hai Ik, Dastaane Alam
Khoon Hi Khoon Bikhra Hai Taaba Haram
Ai Dil-E-Natawa Rakh Sambhal Ke Qadam
Sayyada Yaan Se Hai Paa Barehna Gayi
Ranjo Gham Jinke Guzre Na The Paas Se
Teen Din Tak Tadapte Rahe Pyaas Se
Shaah Dekha Kiye Hasrato Yaas Se
Har Kali Baaghe Zehra Ki Kumla Gayi
Shaam Se Jabke Palta Huwa Qafila
Manzile Maarta Phoncha Karbobala
Girke Naaqe Sai Zainab Ne Di Ye Sada
Qaid Se Chut Ke Bhaiya Bahen Aagayi
Haye Zainab Kahan Aur Kahan Reesma
Mou Chupane Ko Batlao Jaaoun Kahan
Mujhse Chupte Nahin Baazuon Ke Nishaan
Qaid Hone Se Pehle Na Mout Aagayi
Tha Yahin Mere Akbar Ko Naiza Laga
Halqe Asghar Yahin Teer Se Tha Chida
Haan Issi Khaak Par Tha Sare Sheh Kata
Yeh Zameen Saara Kunba Mera Kha Gayi
Godiyon Main Nabi Zaadiyon Ke Pale
Jaan Dene Pe Is Tarhan Se The Tule
Rak Diye Khushk Raiti Pe Pyaase Gale
Burrish-E-Khanjar-E-Zulm Sharmagayi