Lasha Behan Behan
Ghurbat Main Qatl Ho Gaya Mazloom Bay Watan
Main Bhai Bhai Kehti Thi Thi Lasha Behan Behan
Teeron Pay Tha Rakha Hua, Lasha Hussain Ka
Dooba Hua Lahoo Main, Tha Kurta Hussain Ka
Awaaz Thi Hussain Ki Behna Kafan Kafan
Aayi Na Raas Dau Gardhi, Pardes Ki Fiza
Kunba Shaheed Ho Gaya, Mera Ghar Ujjardhgaya
Pardes Des Ghair Ka Apna Watan Watan
Ik Din Kay Dagh Mainay, Bahattar Utha Liye
Kuch Dagh Mainay Kalb Kay, Andhar Chupa Liye
Chuptay Nahin, Chupa Nay Say Dagh-E-Rasan Rasan
Dekha Hay Baba Mainay, Jo Manzal Bataoun Kiya
Naizon Pay Tha Rakha Hua, Sar Har Shaheed Ka
Ghordon Kay Daud Nay Say Tha Tukray Badan Badan
Qasim Ki Lash Laye, Thay Daman Main Shah-E-Deen
Sehray Say Baynayaz Thi, Nau Shah Ki Jabin
Ik Shab Bhi Rehna Payi Na Jis Ki Dulhan Dulhan
Baba Hassan Say Taaba Hussain-E-Shaheed Tak
Baba Ameer-E-Shaam Say, Daur-E-Yazeed Tak
Loota Hay Ahl-E-Shaam Nay Baba Chaman Chaman
Barchi Kalayja-E-Ali Akbar Main Jab Lagi
Baba Ko Di Sada Kabhi Awaaz Mujhko Di
Kehta Tha Seena Tham Kay Amma Chubhan Chubhan
Ghazi Kay Baad Aur Kayamat Guzargayi
Pysaason Ki Aas Toot Kay Ban Main Bikhargayi
Ik Shaur Al-Atash Ka Bapa Tha Dehan Dehan
Ye Naukri Bhi Khoob Hay, Rehan Aur Raza
Bhai Ki Naukri Ka Behan Nay Diya Sila
Haan Wo Behan Ye Noha Tha Jiska Sukan Sukan