Ran Se Aakar Ali Akbar Ne Jo Maanga Paani
Ran Se Aakar Ali Akbar Nay Jo Maanga Paani
Shiddat E Gham Se Hua Sheh Ka Kaleja Paani
Voh Toh Dunya Ko Dekhana Theen Adavat Ki Hadein
Kaun Kehta Hai Kay Baysheer Nay Maanga Paani
Mooh Chupaye Huay Phirta Hai Zameen Kay Neechay
Karbala Walon Se Sharminda Hai Kitna Paani
Ek Pyaasay Ka Ye Paygham Hai Dunya Sunlay
Yaad Karlena Mujhay Peena Jo Thanda Paani
Dushman E Aalay Payambar Toh Hon Sayraabe Furaat
Aur Kehta Rahay Ahmed Ka Nawaasa Paani
Haq Se Kar Daytay Agar Pyaas Ka Shikwa Asghar
Roz E Ashoor Nazar Aati Ye Dunya Paani
Ashqiya Kehtay Thay Sarwar Se Na Dengay Qatra
Aaj Hojaye Agar Saara Zamana Paani
Aas Deti Thi Sakina Yehi Har Bachay Ko
Run Se Aatay Hain Chacha Sab Ko Milega Paani
Baaday Asghar Yehi Kehti Rahi Ek Ek Se Rubab
Nanhi Turbat Pay Churak Aati Jo Milta Paani
Kufa O Shaam Ki Raahon Mein Har Ek Manzil Par
Maangti Hi Rahi Ek Se Sakina Paani
Kehliya Kehnay Ko Tumnay Bhi Mujahid Ye Salam
Khoobtar Hazrat E Saalik Nay Kaha Tha Paani
Dushmanon Nay Bhi Agar Dil Se Kaha Haaye Husain
Unn Ki Aankhon Se Barastay Huay Dekha Paani
Paani Chullu Mein Hai Lekin Hai Nazar Khayma Par
Imtehaan Leta Hai Pyaasay Ki Wafa Ka Paani
Moutiyon Se Bhi Giraan Qadar Hain Ye Pesh E Khuda
Aansuon Ko Meray Samjha Karay Dunya Paani